Baarish k katron mein chuppi ek kahani hai,
Hazaaron ghamon, hazaaron dard sey likhi ek kahani hai,
Meri nazron mein chupa hai ab bhi aks tera,
Na maang sakoon tujhay, wajah ek kahani hai.
Dil rota hai barish ki har boondh k sath,
Meri baybasi ki ek kahani hai.
Chubhan hoti hai meri roh mein,
Tootti saanson ki ek kahani hai.
Mat poch is dil k tootnay ki wajah,
Raiza raiza howay meray wajood ki ek kahani hai.
Pocha hai jo tum nay in aansuon, is baychaini ki wajah,
Chuppay kai raazon ki ek kahani hai.
Meray lab pe hain ab bhi kai duain,
Hazaron khuwahishon ki ek kahani hai.
Meray haath ab bhi uthein hain duaon k lye,
Maanga hai kya yeh ek kahani hai.
And yeah thanks for liking my poem